Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sitare hi sirf raston mein na kho rahe the

Jamal Ehsani

sitare hi sirf raston mein na kho rahe the

Jamal Ehsani

sitāre sirf rāstoñ meñ na kho rahe the

charāġh aur chāñd bhī gale mil ke ro rahe the

nigāh aise meñ ḳhaak pahchāntī kisī ko

ġhubār aisā thā aa.ine aks kho rahe the

kisī bayābāñ meñ dhuup rasta bhaTak ga.ī thī

kisī bhulāve meñ aa ke sab peḌ so rahe the

na ranj-e-hijrat thā aur na shauq-e-safar thā dil meñ

sab apne apne gunāh bojh Dho rahe the

'jamāl' us vaqt koī mujh se bichhaḌ rahā thā

zamīn aur āsmān jab ek ho rahe the

sitare hi sirf raston mein na kho rahe the

charagh aur chand bhi gale mil ke ro rahe the

nigah aise mein KHak pahchanti kisi ko

ghubar aisa tha aaine aks kho rahe the

kisi bayaban mein dhup rasta bhaTak gai thi

kisi bhulawe mein aa ke sab peD so rahe the

na ranj-e-hijrat tha aur na shauq-e-safar tha dil mein

sab apne apne gunah ka bojh Dho rahe the

'jamal' us waqt koi mujh se bichhaD raha tha

zamin aur aasman jab ek ho rahe the

RECITATIONS

Javed Naseem

Javed Naseem,

Javed Naseem

sitare hi sirf raston mein na kho rahe the Javed Naseem

Source :
  • Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 66)
  • Author : Jamal Ehsani
  • Publication : Rekhta Publications (2018)
  • Edition : First
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now