silsile nur ke main KHak-nashin jaanta hun
silsile nuur ke maiñ ḳhāk-nashīñ jāntā huuñ
kitne sūraj haiñ yahāñ zer-e-zamīñ jāntā huuñ
jaan letā huuñ har ik chehre ke poshīda nuqūsh
tum samajhte ho ki maiñ kuchh bhī nahīñ jāntā huuñ
be-sadā lamhoñ meñ mauhūm ḳhayāloñ se pare
dil kī āvāz ko maiñ ain yaqīñ jāntā huuñ
kin ilāqoñ se guzarnā hai uThā.e hue sar
aur kahāñ mujh ko jhukānī hai jabīñ jāntā huuñ
us ke hī husn kī tamhīd haiñ saare mausam
maiñ use aaj bhī utnā hī hasīñ jāntā huuñ
laakh jā baiThe koī ūñchī fasīloñ pe 'nabīl'
jis kī auqāt jahāñ kī ho vahīñ jāntā huuñ
silsile nur ke main KHak-nashin jaanta hun
kitne suraj hain yahan zer-e-zamin jaanta hun
jaan leta hun har ek chehre ke poshida nuqush
tum samajhte ho ki main kuchh bhi nahin jaanta hun
be-sada lamhon mein mauhum KHayalon se pare
dil ki aawaz ko main ain yaqin jaanta hun
kin ilaqon se guzarna hai uThae hue sar
aur kahan mujh ko jhukani hai jabin jaanta hun
us ke hi husn ki tamhid hain sare mausam
main use aaj bhi utna hi hasin jaanta hun
lakh ja baiThe koi unchi fasilon pe 'nabil'
jis ki auqat jahan ki ho wahin jaanta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.