Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sikha diya hai zamane ne be-basar rahna

Wazir Agha

sikha diya hai zamane ne be-basar rahna

Wazir Agha

sikhā diyā hai zamāne ne be-basar rahnā

ḳhabar aañch meñ jal kar bhī be-ḳhabar rahnā

sahar os se kahnā ki ek pal to ruke

ki nā-pasand hai ham ko bhī ḳhaak par rahnā

tamām umr guzrī hai dastakeñ sunte

hameñ to raas na aayā ḳhud apne ghar rahnā

vo ḳhush-kalām hai aisā ki us ke paas hameñ

tavīl rahnā bhī lagtā hai muḳhtasar rahnā

safar aziiz havā ko magar aziiz hameñ

misāl-e-nik.hat-e-gul us ham-safar rahnā

shajar pe phuul to aate rahe bahut lekin

samajh meñ aa na sakā us be-samar rahnā

ajiib tarz-e-takallum hai us āñkhoñ

ḳhamosh rah ke bhī lafzoñ dhaar par rahnā

varaq varaq na sahī umr-e-rā.egāñ merī

havā ke saath magar tum na umr bhar rahnā

zarā Thes lagī aur ghar ko oḌh liyā

kahāñ gayā vo tumhārā nagar nagar rahnā

sikha diya hai zamane ne be-basar rahna

KHabar ki aanch mein jal kar bhi be-KHabar rahna

sahar ki os se kahna ki ek pal to ruke

ki na-pasand hai hum ko bhi KHak par rahna

tamam umr hi guzri hai dastaken sunte

hamein to ras na aaya KHud apne ghar rahna

wo KHush-kalam hai aisa ki us ke pas hamein

tawil rahna bhi lagta hai muKHtasar rahna

safar aziz hawa ko magar aziz hamein

misal-e-nikhat-e-gul us ka ham-safar rahna

shajar pe phul to aate rahe bahut lekin

samajh mein aa na saka us ka be-samar rahna

ajib tarz-e-takallum hai us ki aankhon ka

KHamosh rah ke bhi lafzon ki dhaar par rahna

waraq waraq na sahi umr-e-raegan meri

hawa ke sath magar tum na umr bhar rahna

zara si Thes lagi aur ghar ko oDh liya

kahan gaya wo tumhaara nagar nagar rahna

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Wazir Agha

Wazir Agha

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now