shoala-e-mauj-e-talab KHun-e-jigar se nikla
sho.ala-e-mauj-e-talab ḳhūn-e-jigar se niklā
nā-rasā.ī meñ bhī kyā kaam hunar se niklā
nashsha-e-marg sī ik lahr lahū meñ chamkī
jab qabā utrī to ḳhanjar bhī kamar se niklā
sañg-e-be-his se uThī mauj-e-siyah-tāb koī
sarsarātā huā ik saañp khañDar se niklā
maiñ ne dekhā thā sahāre ke liye chāroñ taraf
ki mire paas hī ik haath bhañvar se niklā
dil ke āshob kā nairañg thā kyā ashk meñ 'zeb'
ek betāb samundar bhī guhar se niklā
shoala-e-mauj-e-talab KHun-e-jigar se nikla
na-rasai mein bhi kya kaam hunar se nikla
nashsha-e-marg si ek lahr lahu mein chamki
jab qaba utri to KHanjar bhi kamar se nikla
sang-e-be-his se uThi mauj-e-siyah-tab koi
sarsaraata hua ek sanp khanDar se nikla
main ne dekha tha sahaare ke liye chaaron taraf
ki mere pas hi ek hath bhanwar se nikla
dil ke aashob ka nairang tha kya ashk mein 'zeb'
ek betab samundar bhi guhar se nikla
- Book : Zard Zarkhez (Pg. 120)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.