dukh ko mere samajh gae sun ke KHushi nahin hui
dukh ko mire samajh ga.e sun ke ḳhushī nahīñ huī
tum bhī mirī jagah pe the sun ke ḳhushī nahīñ huī
aap hī apnā zarf tum ḳhud meñ janam se band the
phuuT ke aaj ro paḌe sun ke ḳhushī nahīñ huī
sub.h se shaam mas.ale apne tamām mas.ale
chaah ke hal na kar sake sun ke ḳhushī nahīñ huī
aaj jo dil pe baar haiñ log jo nāgavār haiñ
pahle tumhāre yaar the sun ke ḳhushī nahīñ huī
kaam ke saare rābte kaam ke saare vāste
kaam na aa.e aap ke sun ke ḳhushī nahīñ huī
dukh ko mere samajh gae sun ke KHushi nahin hui
tum bhi meri jagah pe the sun ke KHushi nahin hui
aap hi apna zarf tum KHud mein janam se band the
phuT ke aaj ro paDe sun ke KHushi nahin hui
subh se sham masale apne tamam masale
chah ke hal na kar sake sun ke KHushi nahin hui
aaj jo dil pe bar hain log jo nagawar hain
pahle tumhaare yar the sun ke KHushi nahin hui
kaam ke sare rabte kaam ke sare waste
kaam na aae aap ke sun ke KHushi nahin hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.