shahr-e-dil aabaad tha jab tak wo shahr-ara raha
shahr-e-dil ābād thā jab tak vo shahr-ārā rahā
jab vo shahr-ārā gayā phir shahr-e-dil meñ kyā rahā
kyā rahā phir shahr-e-dil meñ juz-hujūm-e-dard-o-ġham
thī jahāñ fauj-e-tarab vaañ lashkar-e-ġham aa rahā
aa rahā āñkhoñ meñ dam to bhī na aayā vo sanam
haif kis se pochhiye jā kar ki vo kis jā rahā
shahr-e-dil aabaad tha jab tak wo shahr-ara raha
jab wo shahr-ara gaya phir shahr-e-dil mein kya raha
kya raha phir shahr-e-dil mein juz-hujum-e-dard-o-gham
thi jahan fauj-e-tarab wan lashkar-e-gham aa raha
aa raha aankhon mein dam to bhi na aaya wo sanam
haif kis se pochhiye ja kar ki wo kis ja raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.