shab ko nala jo mera ta-ba-falak jata hai
shab ko naala jo mirā tā-ba-falak jaatā hai
sub.h ko mahr ke parde meñ chamak jaatā hai
apnā paimāna-e-dil hai mai-e-ġham se labrez
buuñd se bāda-e-ishrat kī chhalak jaatā hai
kamar-e-yār kī likhtā huuñ nazākat jis dam
ḳhāma sau martaba kāġhaz pe lachak jaatā hai
yaad aatī hai kabhī sohbat-e-ahbāb agar
ek sho'la hai ki siine meñ bhaḌak jaatā hai
chāñdnī chhuptī hai takyoñ ke tale āñkhoñ meñ ḳhvāb
sone meñ un kā dupaTTa jo sarak jaatā hai
vasl ke zikr pe kahte haiñ bigaḌ kar dekho
aisī bātoñ se kaleja mirā pak jaatā hai
dil liyā hai to ḳhudā ke liye kah do sāhab
muskurāte ho tumhīñ par mirā shak jaatā hai
pyaar karne ko jo baḌhtā huuñ to kahte haiñ haTo
nashshe meñ aa ke koī aisā bahak jaatā hai
sāqiyā jaam pilā siiḳh se utrā hai kabāb
der achchhī nahīñ ab lutf-e-gazak jaatā hai
lab-e-ḳhandāñ se na deñ kis liye qātil ko du'ā
roz zaḳhmoñ pe namak aa ke chhiḌak jaatā hai
shefta shāhid-e-rā.anā-e-suḳhan kā huuñ 'habīb'
na.e andāz pe dil merā phaḌak jaatā hai
shab ko nala jo mera ta-ba-falak jata hai
subh ko mahr ke parde mein chamak jata hai
apna paimana-e-dil hai mai-e-gham se labrez
bund se baada-e-ishrat ki chhalak jata hai
kamar-e-yar ki likhta hun nazakat jis dam
KHama sau martaba kaghaz pe lachak jata hai
yaad aati hai kabhi sohbat-e-ahbab agar
ek sho'la hai ki sine mein bhaDak jata hai
chandni chhupti hai takyon ke tale aankhon mein KHwab
sone mein un ka dupaTTa jo sarak jata hai
wasl ke zikr pe kahte hain bigaD kar dekho
aisi baaton se kaleja mera pak jata hai
dil liya hai to KHuda ke liye kah do sahab
muskuraate ho tumhin par mera shak jata hai
pyar karne ko jo baDhta hun to kahte hain haTo
nashshe mein aa ke koi aisa bahak jata hai
saqiya jam pila siKH se utra hai kabab
der achchhi nahin ab lutf-e-gazak jata hai
lab-e-KHandan se na den kis liye qatil ko du'a
roz zaKHmon pe namak aa ke chhiDak jata hai
shefta shahid-e-raana-e-suKHan ka hun 'habib'
nae andaz pe dil mera phaDak jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.