Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhani surmai sabz gulabi jaise man ka aanchal sham

Badr Wasti

dhani surmai sabz gulabi jaise man ka aanchal sham

Badr Wasti

dhānī surma.ī sabz gulābī jaise maañ āñchal shaam

kaise kaise rañg dikhā.e roz labālab chhāgal shaam

charvāhe ko ghar pahuñchā.e pahre-dār se ghar chhuḌvā.e

aate jaate chheḌtī jaa.e darvāze sāñkal shaam

sūraj ke pāpoñ gaThrī sar par laade thakī thakī

ḳhāmoshī se muñh laTkā.e chal detī hai paidal shaam

behis duniyā-dāroñ ko ho duniyā har chiiz mubārak

ġham-zādoñ sarmāyā haiñ aañsū aaheñ botal shaam

sūraj ke jaate apne rañg pe aa jaatī hai duniyā

jāne-būjhe chup rahtī hai shab ke moḌ pe komal shaam

sāñsoñ pur-shor Dagar pe raqs karegā sannāTā

chupke se jis roz achānak chhankā degī paa.el shaam

'badr' tumheñ kyā haal sunā.īñ itnā bas kaafī hai

tanhā.ī meñ kaT jaatī hai jaise-taise maḳhmal shaam

dhani surmai sabz gulabi jaise man ka aanchal sham

kaise kaise rang dikhae roz labaalab chhagal sham

charwahe ko ghar pahunchae pahre-dar se ghar chhuDwae

aate jate chheDti jae darwaze ki sankal sham

suraj ke papon ki gaThri sar par lade thaki thaki si

KHamoshi se munh laTkae chal deti hai paidal sham

behis duniya-daron ko ho duniya ki har chiz mubarak

gham-zadon ka sarmaya hain aansu aahen botal sham

suraj ke jate hi apne rang pe aa jati hai duniya

jaane-bujhe chup rahti hai shab ke moD pe komal sham

sanson ki pur-shor Dagar pe raqs karega sannaTa

chupke se jis roz achanak chhanka degi pael sham

'badr' tumhein kya haal sunain itna hi bas kafi hai

tanhai mein kaT jati hai jaise-taise maKHmal sham

Source :
  • Book : TO MAIN KAHAN HOON (POETRY) (Pg. 17)
  • Author : Badr Wasti
  • Publication : Madhya Pradesh Urdu Academy (2010)
  • Edition : 2010

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now