saza ka haal sunaen jaza ki baat karen
sazā kā haal sunā.eñ jazā kī baat kareñ
ḳhudā milā ho jinheñ vo ḳhudā kī baat kareñ
unheñ pata bhī chale aur vo ḳhafā bhī na hoñ
is ehtiyāt se kyā mudda.ā kī baat kareñ
hamāre ahd kī tahzīb meñ qabā hī nahīñ
agar qabā ho to band-e-qabā kī baat kareñ
har ek daur kā maz.hab nayā ḳhudā laayā
kareñ to ham bhī magar kis ḳhudā kī baat kareñ
vafā-shi.ār ka.ī haiñ koī hasīñ bhī to ho
chalo phir aaj usī bevafā kī baat kareñ
saza ka haal sunaen jaza ki baat karen
KHuda mila ho jinhen wo KHuda ki baat karen
unhen pata bhi chale aur wo KHafa bhi na hon
is ehtiyat se kya muddaa ki baat karen
hamare ahd ki tahzib mein qaba hi nahin
agar qaba ho to band-e-qaba ki baat karen
har ek daur ka mazhab naya KHuda laya
karen to hum bhi magar kis KHuda ki baat karen
wafa-shiar kai hain koi hasin bhi to ho
chalo phir aaj usi bewafa ki baat karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.