Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sau qisson se behtar hai kahani mere dil ki

Imam Bakhsh Nasikh

sau qisson se behtar hai kahani mere dil ki

Imam Bakhsh Nasikh

sau qissoñ se behtar hai kahānī mire dil

sun us ko ai jaan zabānī mire dil

har naale meñ yaañ TukḌe jigar hotā hai bulbul

āsān nahīñ tarz uḌānī mire dil

honī hai shahīd ek na ik roz tamannā

mauqūf ho kyā marsiya-ḳhvānī mire dil

piirī meñ bhī miltā hai jo kam-sin koī mahbūb

kartī hai vahīñ uud javānī mire dil

taqsīm kiye pāra-e-dil bazm-e-butāñ meñ

har ek ke hai paas nishānī mire dil

ik baat meñ ho jaa.e musaḳhḳhar vo parī-rū

suntā nahīñ sehr-bayānī mire dil

hai abr to kyā chāhe falak ko bhī jalā de

bijlī meñ kahāñ shola-fishānī mire dil

zulfoñ meñ kiyā qaid na abrū se kiyā qatl

ne to koī baat na maanī mire dil

ye bār-e-ġham-e-ishq samāyā hai ki 'nāsiḳh'

hai koh se dah-chand girānī mire dil

sau qisson se behtar hai kahani mere dil ki

sun us ko tu ai jaan zabani mere dil ki

har nale mein yan TukDe jigar hota hai bulbul

aasan nahin tarz uDani mere dil ki

honi hai shahid ek na ek roz tamanna

mauquf ho kya marsiya-KHwani mere dil ki

piri mein bhi milta hai jo kam-sin koi mahbub

karti hai wahin ud jawani mere dil ki

taqsim kiye para-e-dil bazm-e-butan mein

har ek ke hai pas nishani mere dil ki

ek baat mein ho jae musaKHKHar wo pari-ru

sunta hi nahin sehr-bayani mere dil ki

hai abr to kya chahe falak ko bhi jala de

bijli mein kahan shola-fishani mere dil ki

zulfon mein kiya qaid na abru se kiya qatl

tu ne to koi baat na mani mere dil ki

ye bar-e-gham-e-ishq samaya hai ki 'nasiKH'

hai koh se dah-chand girani mere dil ki

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now