Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

san li sada-e-koh-e-nida aur chal paDe

Makhmoor Saeedi

san li sada-e-koh-e-nida aur chal paDe

Makhmoor Saeedi

san sadā-e-koh-e-nidā aur chal paḌe

ham ne kisī se kuchh na kahā aur chal paḌe

saa.e meñ do ghaḌī bhī na Thahre guzarte log

peḌoñ pe apnā naam likhā aur chal paḌe

Thahrī huī fazā meñ ulajhne lagā thā dam

ham ne huā giit sunā aur chal paḌe

tārīk rāstoñ safar sahl thā hameñ

raushan kiyā lahū diyā aur chal paḌe

raḳht-e-safar jo paas hamāre na thā to kyā

shauq-e-safar ko saath liyā aur chal paḌe

ghar meñ rahā thā kaun ki ruḳhsat kare hameñ

chaukhaT ko alvidā.a kahā aur chal paḌe

'maḳhmūr' vāpsī irāda na thā magar

dar ko khulā chhoḌ diyā aur chal paḌe

san li sada-e-koh-e-nida aur chal paDe

hum ne kisi se kuchh na kaha aur chal paDe

sae mein do ghaDi bhi na Thahre guzarte log

peDon pe apna nam likha aur chal paDe

Thahri hui faza mein ulajhne laga tha dam

hum ne hua ka git suna aur chal paDe

tarik raston ka safar sahl tha hamein

raushan kiya lahu ka diya aur chal paDe

raKHt-e-safar jo pas hamare na tha to kya

shauq-e-safar ko sath liya aur chal paDe

ghar mein raha tha kaun ki ruKHsat kare hamein

chaukhaT ko alwidaa kaha aur chal paDe

'maKHmur' wapsi ka irada na tha magar

dar ko khula hi chhoD diya aur chal paDe

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now