Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sainkaDon hi rahnuma hain rasta koi nahin

Amjad Islam Amjad

sainkaDon hi rahnuma hain rasta koi nahin

Amjad Islam Amjad

MORE BYAmjad Islam Amjad

    saiñkaḌoñ rahnumā haiñ rāsta koī nahīñ

    aa.ine chāroñ taraf haiñ dekhtā koī nahīñ

    sab ke sab haiñ apne apne dā.ere qaid meñ

    dā.eroñ had se bāhar sochtā koī nahīñ

    sirf mātam aur zaarī se jis hal mile

    is tarah to kahīñ bhī mas.ala koī nahīñ

    ye jo saa.e se bhaTakte haiñ hamāre ird-gird

    chhū ke un ko dekhiye to vāhima koī nahīñ

    jo huā ye darj thā pahle apne baḳht meñ

    is matlab to huā ki bevafā koī nahīñ

    tere raste meñ khaḌe haiñ sirf tujh ko dekhne

    mudda.ā pūchho to apnā mudda.ā koī nahīñ

    kun-fakāñ ke bhed se maulā mujhe āgāh kar

    kaun huuñ maiñ gar yahāñ par dūsrā koī nahīñ

    vaqt aisā ham-safar hai jis manzil hai alag

    vo sarā.e hai ki jis meñ Thairtā koī nahīñ

    gaahe gaahe sahī 'amjad' magar ye vāqi.a

    yuuñ bhī lagtā hai ki duniyā ḳhudā koī nahīñ

    sainkaDon hi rahnuma hain rasta koi nahin

    aaine chaaron taraf hain dekhta koi nahin

    sab ke sab hain apne apne daere ki qaid mein

    daeron ki had se bahar sochta koi nahin

    sirf matam aur zari se hi jis ka hal mile

    is tarah ka to kahin bhi masala koi nahin

    ye jo sae se bhaTakte hain hamare ird-gird

    chhu ke un ko dekhiye to wahima koi nahin

    jo hua ye darj tha pahle hi apne baKHt mein

    is ka matlab to hua ki bewafa koi nahin

    tere raste mein khaDe hain sirf tujh ko dekhne

    muddaa puchho to apna muddaa koi nahin

    kun-fakan ke bhed se maula mujhe aagah kar

    kaun hun main gar yahan par dusra koi nahin

    waqt aisa ham-safar hai jis ki manzil hai alag

    wo sarae hai ki jis mein Thairta koi nahin

    gahe gahe hi sahi 'amjad' magar ye waqia

    yun bhi lagta hai ki duniya ka KHuda koi nahin

    RECITATIONS

    Amjad Islam Amjad

    Amjad Islam Amjad,

    Amjad Islam Amjad

    sAINKADO HI REHNUMA HAIN AMJAD ISLAM AMJAD 4 Amjad Islam Amjad

    Source :
    • Book : Batain Kartay Din (Pg. 103)
    • Author : Amjad Islam Amjad
    • Publication : Sang-e-meel Publications (2014)
    • Edition : 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now