isi liye main kinara-kashi nahin karta
isī liye maiñ kināra-kashī nahīñ kartā
vo dil kī qaid se sab ko barī nahīñ kartā
judā safar hai so rasta judā banāyā hai
maiñ andhā-dhund kabhī pairvī nahīñ kartā
tumhārī raa.e kā iz.hār-o-ehtirām durust
suḳhan to kartā huuñ maiñ naukrī nahīñ kartā
kisī tarah bhī zamāna-shanās hotā nahīñ
tire faqīr se jo dil-lagī nahīñ kartā
sabhī ko rizq-e-suḳhan kī nahīñ farāvānī
sabhī pe nazr-e-karam vo saḳhī nahīñ kartā
vo aur din the tirī yaad meñ paḌe rahnā
maiñ aaj kal to tirī baat hī nahīñ kartā
kisī ke hukm pe gūñdhā hai jism varna 'razā'
maiñ apne shauq se kūza-garī nahīñ kartā
isi liye main kinara-kashi nahin karta
wo dil ki qaid se sab ko bari nahin karta
juda safar hai so rasta juda banaya hai
main andha-dhund kabhi pairwi nahin karta
tumhaari rae ka izhaar-o-ehtiram durust
suKHan to karta hun main naukri nahin karta
kisi tarah bhi zamana-shanas hota nahin
tere faqir se jo dil-lagi nahin karta
sabhi ko rizq-e-suKHan ki nahin farawani
sabhi pe nazr-e-karam wo saKHi nahin karta
wo aur din the teri yaad mein paDe rahna
main aaj kal to teri baat hi nahin karta
kisi ke hukm pe gundha hai jism warna 'raza'
main apne shauq se kuza-gari nahin karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.