sadme yun ghair par nahin aate
sadme yuuñ ġhair par nahīñ aate
tumheñ jaur is qadar nahīñ aate
phir tasallī kī kaun sī sūrat
ḳhvāb meñ bhī nazar nahīñ aate
aate haiñ jab ki nā-umīd hoñ ham
kabhī vo va.ade par nahīñ aate
roz ke intizār ne maarā
saaf kah do agar nahīñ aate
nahīñ ma.alūm is kā kyā baa.is
roz kahte haiñ par nahīñ aate
aur tum kis ke ghar nahīñ jaate
ek mere hī ghar nahīñ aate
ab to hai qahr aap kā jaanā
nahīñ aate agar nahīñ aate
sach hai hiile mujhī ko aate haiñ
aur tumheñ kis qadar nahīñ aate
un ko maiñ is tarah bhulā.ūñ 'nizām'
yaad kis baat par nahīñ aate
sadme yun ghair par nahin aate
tumhein jaur is qadar nahin aate
phir tasalli ki kaun si surat
KHwab mein bhi nazar nahin aate
aate hain jab ki na-umid hon hum
kabhi wo wade par nahin aate
roz ke intizar ne mara
saf kah do agar nahin aate
nahin malum is ka kya bais
roz kahte hain par nahin aate
aur tum kis ke ghar nahin jate
ek mere hi ghar nahin aate
ab to hai qahr aap ka jaana
nahin aate agar nahin aate
sach hai hile mujhi ko aate hain
aur tumhein kis qadar nahin aate
un ko main is tarah bhulaun 'nizam'
yaad kis baat par nahin aate
- Book : kulliyat-e-nizaam (Pg. 269)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.