iKHtiyar achchha hai lekin is qadar bhi to nahin
iḳhtiyār achchhā hai lekin is qadar bhī to nahīñ
eqtidār achchhā hai lekin is qadar bhī to nahīñ
she'r meñ ho nasr meñ ho yā ki ho malbūs meñ
iḳhtisār achchhā hai lekin is qadar bhī to nahīñ
kuchh to apne paaoñ par uThne kī himmat kījiye
inhisār achchhā hai lekin is qadar bhī to nahīñ
ye zarūrī to nahīñ hai kāmyābī ho huzūr
kār-o-bār achchhā hai lekin is qadar bhī to nahīñ
kuchh to hotī hai 'buḳhārī' 'izzat-o-tauqīr bhī
inkisār achchhā hai lekin is qadar bhī to nahīñ
sādgī kī bhī huā kartī hai 'āsim' ek had
e'tibār achchhā hai lekin is qadar bhī to nahīñ
iKHtiyar achchha hai lekin is qadar bhi to nahin
eqtidar achchha hai lekin is qadar bhi to nahin
she'r mein ho nasr mein ho ya ki ho malbus mein
iKHtisar achchha hai lekin is qadar bhi to nahin
kuchh to apne paon par uThne ki himmat kijiye
inhisar achchha hai lekin is qadar bhi to nahin
ye zaruri to nahin hai kaamyabi ho huzur
kar-o-bar achchha hai lekin is qadar bhi to nahin
kuchh to hoti hai 'buKHari' 'izzat-o-tauqir bhi
inkisar achchha hai lekin is qadar bhi to nahin
sadgi ki bhi hua karti hai 'asim' ek had
e'tibar achchha hai lekin is qadar bhi to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.