Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahil tamam ashk-e-nadamat se aT gaya

Shakeb Jalali

sahil tamam ashk-e-nadamat se aT gaya

Shakeb Jalali

sāhil tamām ashk-e-nadāmat se aT gayā

dariyā se koī shaḳhs to pyāsā palaT gayā

lagtā thā be-karāñ mujhe sahrā meñ āsmāñ

pahuñchā jo bastiyoñ meñ to ḳhānoñ meñ baT gayā

itnā saḳht-jān ki talvār be-asar

itnā narm-dil ki rag-e-gul se kaT gayā

bāñhoñ meñ aa sakā na havelī ik sutūn

putlī meñ merī aañkh sahrā simaT gayā

ab kaun jaa.e ku-e-malāmat ko chhoḌ kar

qadmoñ se aa ke apnā saaya lipaT gayā

gumbad kyā qusūr use kyuuñ kaho burā

aayā jidhar se tair udhar palaT gayā

rakhtā hai ḳhud se kaun harīfāna kashmakash

maiñ thā ki raat apne muqābil DaT gayā

jis amaañ meñ huuñ vahī uktā gayā na ho

būñdeñ ye kyuuñ barastī haiñ bādal to chhaT gayā

vo lamha-e-shu.ūr jise jāñkanī kaheñ

chehre se zindagī ke naqābeñ ulaT gayā

Thokar se merā paañv to zaḳhmī huā zarūr

raste meñ jo khaḌā thā vo kohsār haT gayā

ik hashr bapā thā mire dil meñ ai 'shakeb'

kholīñ jo khiḌkiyāñ to zarā shor ghaT gayā

sahil tamam ashk-e-nadamat se aT gaya

dariya se koi shaKHs to pyasa palaT gaya

lagta tha be-karan mujhe sahra mein aasman

pahuncha jo bastiyon mein to KHanon mein baT gaya

ya itna saKHt-jaan ki talwar be-asar

ya itna narm-dil ki rag-e-gul se kaT gaya

banhon mein aa saka na haweli ka ek sutun

putli mein meri aankh ki sahra simaT gaya

ab kaun jae ku-e-malamat ko chhoD kar

qadmon se aa ke apna hi saya lipaT gaya

gumbad ka kya qusur use kyun kaho bura

aaya jidhar se tair udhar hi palaT gaya

rakhta hai KHud se kaun harifana kashmakash

main tha ki raat apne muqabil hi DaT gaya

jis ki aman mein hun wahi ukta gaya na ho

bunden ye kyun barasti hain baadal to chhaT gaya

wo lamha-e-shuur jise jaankani kahen

chehre se zindagi ke naqaben ulaT gaya

Thokar se mera panw to zaKHmi hua zarur

raste mein jo khaDa tha wo kohsar haT gaya

ek hashr sa bapa tha mere dil mein ai 'shakeb'

kholin jo khiDkiyan to zara shor ghaT gaya

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Shakiib Jalali (Pg. 138)
  • Author : Mohd Nasir Khan
  • Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2007)
  • Edition : 2007
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now