Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ruh ki mang hai wo jism ka saman nahin

Fatima Hasan

ruh ki mang hai wo jism ka saman nahin

Fatima Hasan

MORE BYFatima Hasan

    ruuh maañg hai vo jism sāmān nahīñ

    us milnā mujhe mushkil na ho āsān nahīñ

    koī dam aur hai bas ḳhaak hue jaane meñ

    ḳhaak bhī aisī ki jis koī pahchān nahīñ

    Thes kuchh aisī lagī hai ki bikharnā hai use

    dil meñ dhaḌkan jagah dard hai aur jaan nahīñ

    bojh hai ishq to phir kaise sambhāleñ us ko

    duur tak saath chaleñ is to imkān nahīñ

    muḳhtalif samt bahā.e liye jaatā hai hameñ

    vaqt ke saath hamārā koī paimān nahīñ

    'fātima' dard ke rishte se kinārā karnā

    be-hisī kah lo ise ye koī nirvān nahīñ

    ruh ki mang hai wo jism ka saman nahin

    us ka milna mujhe mushkil na ho aasan nahin

    koi dam aur hai bas KHak hue jaane mein

    KHak bhi aisi ki jis ki koi pahchan nahin

    Thes kuchh aisi lagi hai ki bikharna hai use

    dil mein dhaDkan ki jagah dard hai aur jaan nahin

    bojh hai ishq to phir kaise sambhaalen us ko

    dur tak sath chalen is ka to imkan nahin

    muKHtalif samt bahae liye jata hai hamein

    waqt ke sath hamara koi paiman nahin

    'fatima' dard ke rishte se kinara karna

    be-hisi kah lo ise ye koi nirwan nahin

    RECITATIONS

    Azra Naqvi

    Azra Naqvi,

    Azra Naqvi

    Rooh ki maang hai woh jism ka saman nahin Azra Naqvi

    Source :
    • Book : Asaleeb (Pg. 246)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now