ruh ke malbe se lipTe nam ka andaza na kar
ruuh ke malbe se lipTe nam kā andāza na kar
mujh se mil to mere pahle ġham kā andāza na kar
varna merī ret ḳhud meñ jazb kar legī tujhe
sarsarī sahrā ke pech-o-ḳham kā andāza na kar
dhuup kī TuuTī huī taḳhtī pe bārish ne likhā
ghar ke andar baiTh kar mausam kā andāza na kar
ai havā-e-tāza aglī manziloñ kī samt dekh
mujh meñ phaile habs ke aalam kā andāza na kar
bad-samā.at shaḳhs ye sab terī vus.at meñ kahāñ
sāz-e-jāñ kī larzish-e-paiham kā andāza na kar
sair kar sarv-o-saman ke darmiyāñ ai gul-nazhād
āhū-e-vahshat-zada ke ram kā andāza na kar
yuuñ na ho āñkheñ tirī patthar kī ho jaa.eñ 'nabīl'
is sadī ke qissa-e-ādam kā andāza na kar
ruh ke malbe se lipTe nam ka andaza na kar
mujh se mil to mere pahle gham ka andaza na kar
warna meri ret KHud mein jazb kar legi tujhe
sarsari sahra ke pech-o-KHam ka andaza na kar
dhup ki TuTi hui taKHti pe barish ne likha
ghar ke andar baiTh kar mausam ka andaza na kar
ai hawa-e-taza agli manzilon ki samt dekh
mujh mein phaile habs ke aalam ka andaza na kar
bad-samaat shaKHs ye sab teri wusat mein kahan
saz-e-jaan ki larzish-e-paiham ka andaza na kar
sair kar sarw-o-saman ke darmiyan ai gul-nazhad
aahu-e-wahshat-zada ke ram ka andaza na kar
yun na ho aankhen teri patthar ki ho jaen 'nabil'
is sadi ke qissa-e-adam ka andaza na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.