Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nagri nagri phira musafir ghar ka rasta bhul gaya

Meeraji

nagri nagri phira musafir ghar ka rasta bhul gaya

Meeraji

nagrī nagrī phirā musāfir ghar rastā bhuul gayā

kyā hai terā kyā hai merā apnā parāyā bhuul gayā

kyā bhūlā kaise bhūlā kyuuñ pūchhte ho bas yuuñ samjho

kāran dosh nahīñ hai koī bhūlā bhālā bhuul gayā

kaise din the kaisī rāteñ kaisī bāteñ ghāteñ thiiñ

man bālak hai pahle pyaar sundar sapnā bhuul gayā

añdhiyāre se ek kiran ne jhāñk ke dekhā sharmā.ī

dhundlī chhab to yaad rahī kaisā thā chehra bhuul gayā

yaad ke pher meñ aa kar dil par aisī kaarī choT lagī

dukh meñ sukh hai sukh meñ dukh hai bhed ye nyārā bhuul gayā

ek nazar ek pal baat hai Dorī sāñsoñ

ek nazar nuur miTā jab ik pal biitā bhuul gayā

sūjh-būjh baat nahīñ hai man-maujī hai mastāna

lahr lahr se sar paTkā sāgar gahrā bhuul gayā

nagri nagri phira musafir ghar ka rasta bhul gaya

kya hai tera kya hai mera apna paraya bhul gaya

kya bhula kaise bhula kyun puchhte ho bas yun samjho

karan dosh nahin hai koi bhula bhaala bhul gaya

kaise din the kaisi raaten kaisi baaten ghaten thin

man baalak hai pahle pyar ka sundar sapna bhul gaya

andhiyare se ek kiran ne jhank ke dekha sharmai

dhundli chhab to yaad rahi kaisa tha chehra bhul gaya

yaad ke pher mein aa kar dil par aisi kari choT lagi

dukh mein sukh hai sukh mein dukh hai bhed ye nyara bhul gaya

ek nazar ki ek hi pal ki baat hai Dori sanson ki

ek nazar ka nur miTa jab ek pal bita bhul gaya

sujh-bujh ki baat nahin hai man-mauji hai mastana

lahr lahr se ja sar paTka sagar gahra bhul gaya

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now