rifat kabhi kisi ki gawara yahan nahin
rif'at kabhī kisī kī gavārā yahāñ nahīñ
jis sar-zamīñ ke ham haiñ vahāñ āsmāñ nahīñ
do roz ek vaz' pe rañg-e-jahāñ nahīñ
vo kaun sā chaman hai ki jis ko ḳhizāñ nahīñ
'ibrat kī jā hai lākhoñ hī tifl o javāñ nahīñ
piirī meñ bhī ḳhayāl ajal kā yahāñ nahīñ
dushman agar vo dost huā hai to kyā 'ajab
yaañ e'timād-e-dostī-e-jism-o-jāñ nahīñ
raftār naaz meñ ye lachak jaatī hai ki bas
goyā tirī kamar meñ sanam ustuḳhvāñ nahīñ
mun'im ke shukr meñ bhī hilā.eñ kabhī kabhī
tanhā barā.e-lazzat-e-duniyā zabāñ nahīñ
pazhmurda ek hai to shagufta hai dūsrā
bāġh-e-jahāñ meñ fasl-e-bahār-o-ḳhizāñ nahīñ
jin ke suroñ par aap magas-rāañ rahe humā
un kā lahad meñ aaj koī ustuḳhvāñ nahīñ
dhokā na khā zurūf-e-vazū ko tū dekh kar
masjid hai mai-farosh kī 'nāsiḳh' dukāñ nahīñ
rif'at kabhi kisi ki gawara yahan nahin
jis sar-zamin ke hum hain wahan aasman nahin
do roz ek waz' pe rang-e-jahan nahin
wo kaun sa chaman hai ki jis ko KHizan nahin
'ibrat ki ja hai lakhon hi tifl o jawan nahin
piri mein bhi KHayal ajal ka yahan nahin
dushman agar wo dost hua hai to kya 'ajab
yan e'timad-e-dosti-e-jism-o-jaan nahin
raftar naz mein ye lachak jati hai ki bas
goya teri kamar mein sanam ustuKHwan nahin
mun'im ke shukr mein bhi hilaen kabhi kabhi
tanha barae-lazzat-e-duniya zaban nahin
pazhmurda ek hai to shagufta hai dusra
bagh-e-jahan mein fasl-e-bahaar-o-KHizan nahin
jin ke suron par aap magas-raan rahe huma
un ka lahad mein aaj koi ustuKHwan nahin
dhoka na kha zuruf-e-wazu ko tu dekh kar
masjid hai mai-farosh ki 'nasiKH' dukan nahin
- Book : Intekhab-e-Zarrin Urdu Ghazal (Pg. 97)
- Author : Khvaja Mohammad Zakriya
- Publication : Sangat Publishers (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.