Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raunaq farogh-e-dard se kuchh anjuman mein hai

Bebak  Bhojpuri

raunaq farogh-e-dard se kuchh anjuman mein hai

Bebak Bhojpuri

MORE BYBebak Bhojpuri

    raunaq faroġh-e-dard se kuchh anjuman meñ hai

    ḳhūn-e-jigar ġharīb har bāñkpan meñ hai

    dīvāna zindagānī detā hai yuuñ subūt

    bāhar lahad se hai kabhī ḳhūnīñ kafan meñ hai

    dil ke lahū se ruuh hotī hai parvarish

    me'rāj āgahī vafūr-e-mehan meñ hai

    har buuñd nok-e-kilk detī hai dars-e-hosh

    kaunain surāġh bhī batn-e-suḳhan meñ hai

    do yak nafas hai ḳhema-e-gul fareb-e-rang

    ibrat-farosh ḳhaar bhī sehn-e-chaman meñ hai

    āfāq-sāz maz.hab-e-īsār phir se DhūñD

    ik la.al-e-shab-charāġh bhī tāq-e-kuhan meñ hai

    yaaro suḳhan barā-e-suḳhan mutlaqan 'abas

    paiġhām-e-hast-o-būd kahīñ fikr-o-fan meñ hai

    iḳhlās dil rahmat-e-bārī se kar talab

    raushan charāġh-e-adl kahāñ anjuman meñ hai

    bū-zar faqr hazrat-e-fārūq mizāj

    asnām-sāz qaum ke sheḳh-e-zaman meñ hai

    saudā-garī se maanā ki hāsil hai kuchh vaqār

    sāmān-e-mufsidāt bhī taz.īn-e-tan meñ hai

    asr-e-ravāñ ke log haiñ āvārgī-pasand

    fitna bhī hirs-o-āz ḳhizr-e-zaman meñ hai

    shabnam se pankhuḌī bhī sulagtī hai phuul

    nairañgī-e-ḳhizāñ bhī bahār-e-chaman meñ hai

    faizān-e-irtiqā se janāza ḳhulūs

    ḳhair-ul-umam ke dosh pe shahr-e-zaman meñ hai

    jamhūriyat bhī turfa-tamāsha kis qadar

    lauh-o-qalam jaan yad-e-aharman meñ hai

    is iftirā pe dījiye kuchh muftarī ko daad

    jannat agar kahīñ hai to mere vatan meñ hai

    jaane kise nasīb ho 'bebāk' āgahī

    nāqid jadīd daur taḳhmīn-o-zan meñ hai

    raunaq farogh-e-dard se kuchh anjuman mein hai

    KHun-e-jigar gharib ka har bankpan mein hai

    diwana zindagani ka deta hai yun subut

    bahar lahad se hai kabhi KHunin kafan mein hai

    dil ke lahu se ruh ki hoti hai parwarish

    me'raj aagahi ki wafur-e-mehan mein hai

    har bund nok-e-kilk ki deti hai dars-e-hosh

    kaunain ka suragh bhi batn-e-suKHan mein hai

    do yak nafas hai KHema-e-gul ka fareb-e-rang

    ibrat-farosh KHar bhi sehn-e-chaman mein hai

    aafaq-saz mazhab-e-isar phir se DhunD

    ek lal-e-shab-charagh bhi taq-e-kuhan mein hai

    yaro suKHan bara-e-suKHan mutlaqan 'abas

    paigham-e-hast-o-bud kahin fikr-o-fan mein hai

    iKHlas dil ka rahmat-e-bari se kar talab

    raushan charagh-e-adl kahan anjuman mein hai

    bu-zar ka faqr hazrat-e-faruq ka mizaj

    asnam-saz qaum ke sheKH-e-zaman mein hai

    sauda-gari se mana ki hasil hai kuchh waqar

    saman-e-mufsidat bhi tazin-e-tan mein hai

    asr-e-rawan ke log hain aawargi-pasand

    fitna bhi hirs-o-az ka KHizr-e-zaman mein hai

    shabnam se pankhuDi bhi sulagti hai phul ki

    nairangi-e-KHizan bhi bahaar-e-chaman mein hai

    faizan-e-irtiqa se janaza KHulus ka

    KHair-ul-umam ke dosh pe shahr-e-zaman mein hai

    jamhuriyat bhi turfa-tamasha ka kis qadar

    lauh-o-qalam ki jaan yad-e-aharman mein hai

    is iftira pe dijiye kuchh muftari ko dad

    jannat agar kahin hai to mere watan mein hai

    jaane kise nasib ho 'bebak' aagahi

    naqid jadid daur ka taKHmin-o-zan mein hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now