Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rasm aison se baDhana hi na tha

Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

rasm aison se baDhana hi na tha

Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

MORE BYMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

    rasm aisoñ se baḌhānā na thā

    ḳhidmat-e-nāseh meñ jaanā na thā

    baḌh ga.e kuchh aur un ke hausle

    rone vāloñ ko hañsānā na thā

    dil bhī rakhnā thā ham ko kuchh ḳhayāl

    is tarah aañsū bahānā na thā

    kal zamāna ḳhud miTā detā jinheñ

    aise naqshoñ ko miTānā na thā

    be-piye vaa.iz ko merī raa.e meñ

    masjid-e-jāma meñ jaanā na thā

    rah gayā āñkhoñ meñ naqsha aap

    naza.a meñ sūrat dikhānā na thā

    ḳhud vo de dete to achchhā thā 'azīz'

    kyā kaheñ yuuñ zahr khānā na thā

    rasm aison se baDhana hi na tha

    KHidmat-e-naseh mein jaana hi na tha

    baDh gae kuchh aur un ke hausle

    rone walon ko hansana hi na tha

    dil ka bhi rakhna tha hum ko kuchh KHayal

    is tarah aansu bahana hi na tha

    kal zamana KHud miTa deta jinhen

    aise naqshon ko miTana hi na tha

    be-piye waiz ko meri rae mein

    masjid-e-jama mein jaana hi na tha

    rah gaya aankhon mein naqsha aap ka

    naza mein surat dikhana hi na tha

    KHud wo de dete to achchha tha 'aziz'

    kya kahen yun zahr khana hi na tha

    Source :
    • Gulkadah(Majmua-e-Ghazliyat)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now