Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rahe jo zindagi mein zindagi ka aasra ho kar

Ehsan Danish

rahe jo zindagi mein zindagi ka aasra ho kar

Ehsan Danish

rahe jo zindagī meñ zindagī aasrā ho kar

vahī nikle sarīr-ārā qayāmat meñ ḳhudā ho kar

haqīqat-dar-haqīqat but-kade meñ hai na kaabe meñ

nigāh-e-shauq dhoke de rahī hai rahnumā ho kar

ma.āl-e-kār se gulshan har pattī laraztī hai

ki āḳhir rang-o-bū uḌ jā.eñge ik din havā ho kar

abhī kal tak javānī ke ḳhumistāñ the nigāhoñ meñ

ye duniyā do din meñ rah ga.ī hai kyā se kyā ho kar

mire sajdoñ rab tishna-kāmī kyuuñ nahīñ jaatī

ye kyā be-e'tinā.ī apne bande se ḳhudā ho kar

sirisht-e-dil meñ kis ne kuuT kar bhar hai betābī

azal meñ kaun rab mujh se baiThā thā ḳhafā ho kar

ye pichhlī raat ye ḳhāmoshiyāñ ye Dūbte taare

nigāh-e-shauq bahkī phir rahī hai iltijā ho kar

balā se kuchh ho ham 'ehsān' apnī ḳhū na chhoḌeñge

hamesha be-vafāoñ se mileñge bā-vafā ho kar

rahe jo zindagi mein zindagi ka aasra ho kar

wahi nikle sarir-ara qayamat mein KHuda ho kar

haqiqat-dar-haqiqat but-kade mein hai na kabe mein

nigah-e-shauq dhoke de rahi hai rahnuma ho kar

maal-e-kar se gulshan ki har patti larazti hai

ki aaKHir rang-o-bu uD jaenge ek din hawa ho kar

abhi kal tak jawani ke KHumistan the nigahon mein

ye duniya do hi din mein rah gai hai kya se kya ho kar

mere sajdon ki ya rab tishna-kaami kyun nahin jati

ye kya be-e'tinai apne bande se KHuda ho kar

sirisht-e-dil mein kis ne kuT kar bhar di hai betabi

azal mein kaun ya rab mujh se baiTha tha KHafa ho kar

ye pichhli raat ye KHamoshiyan ye Dubte tare

nigah-e-shauq bahki phir rahi hai iltija ho kar

bala se kuchh ho hum 'ehsan' apni KHu na chhoDenge

hamesha be-wafaon se milenge ba-wafa ho kar

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now