Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rah gaya KHwab-e-dil-aram adhura kis ka

Dil Ayubi

rah gaya KHwab-e-dil-aram adhura kis ka

Dil Ayubi

rah gayā ḳhvāb-e-dil-ārām adhūrā kis

Dhal ga.ī shab to khulā hai ye darīcha kis

lamha lamha mujhe vīrān kiye detā hai

bas gayā mere tasavvur meñ ye chehra kis

āzmā.ish ghaḌī hai sar-e-maqtal dekheñ

zer-e-ḳhanjar vahī rahtā hai irāda kis

ye jo bedār bhī haiñ so.e hue bhī in meñ

shaam kis hai ḳhudā jaane saverā kis

rah-rav-e-āḳhir-e-shab haiñ sabhī uktā.e hue

kaun kab tak hai yahāñ saath bharosa kis

mere qātil ke tajassus meñ bhaTakne vaalo

ḳhuun ālūd hai bastī meñ pasīna kis

ā.īna-ḳhāna do-ālam ko banā kar ai 'dil'

muntazir baiThā hai vārafta-o-shaidā kis

rah gaya KHwab-e-dil-aram adhura kis ka

Dhal gai shab to khula hai ye daricha kis ka

lamha lamha mujhe viran kiye deta hai

bas gaya mere tasawwur mein ye chehra kis ka

aazmaish ki ghaDi hai sar-e-maqtal dekhen

zer-e-KHanjar wahi rahta hai irada kis ka

ye jo bedar bhi hain soe hue bhi in mein

sham kis ki hai KHuda jaane sawera kis ka

rah-raw-e-aKHir-e-shab hain sabhi uktae hue

kaun kab tak hai yahan sath bharosa kis ka

mere qatil ke tajassus mein bhaTakne walo

KHun aalud hai basti mein pasina kis ka

aaina-KHana do-alam ko bana kar ai 'dil'

muntazir baiTha hai warafta-o-shaida kis ka

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now