rahon mein kaun aaya-gaya kuchh pata nahin
rāhoñ meñ kaun āyā-gayā kuchh pata nahīñ
us ko talāsh kartā rahe jo milā nahīñ
be-ās khiḌkiyāñ haiñ sitāre udaas haiñ
āñkhoñ meñ aaj niiñd kā kosoñ pata nahīñ
maiñ chup rahā to aur ġhalat-fahmiyāñ baḌhīñ
vo bhī sunā hai us ne jo maiñ ne kahā nahīñ
dil meñ usī tarah se hai bachpan kī ek yaad
shāyad abhī kalī ko havā ne chhuā nahīñ
chehre pe āñsuoñ ne likhī haiñ kahāniyāñ
ā.īna dekhne kā mujhe hausla nahīñ
rahon mein kaun aaya-gaya kuchh pata nahin
us ko talash karta rahe jo mila nahin
be-as khiDkiyan hain sitare udas hain
aankhon mein aaj nind ka koson pata nahin
main chup raha to aur ghalat-fahmiyan baDhin
wo bhi suna hai us ne jo main ne kaha nahin
dil mein usi tarah se hai bachpan ki ek yaad
shayad abhi kali ko hawa ne chhua nahin
chehre pe aansuon ne likhi hain kahaniyan
aaina dekhne ka mujhe hausla nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.