qayamat hai shab-e-wada ka itna muKHtasar hona
qayāmat hai shab-e-vāda kā itnā muḳhtasar honā
falak kā shaam se dast-o-garebān-e-sahar honā
shab-e-tārīk ne pahlū dabāyā roz-e-raushan kā
zahe qismat mire bālīñ pe terā jalvagar honā
havā-e-tund se kab tak laḌegā shola-e-sarkash
abas hai ḳhud-numā.ī kī havas meñ jalvagar honā
diyār-e-be-ḳhudī hai apne haq meñ gosha-e-rāhat
ġhanīmat hai ghaḌī bhar ḳhvāb-e-ġhaflat meñ basar honā
vahī saaqī vahī sāġhar vahī shīsha vahī baada
magar lāzim nahīñ har ek par yaksāñ asar honā
sunā karte the aaj āñkhoñ se dekheñ dekhne vaale
nigāh-e-'yās' kā sañgīñ-diloñ par kārgar honā
qayamat hai shab-e-wada ka itna muKHtasar hona
falak ka sham se dast-o-gareban-e-sahar hona
shab-e-tarik ne pahlu dabaya roz-e-raushan ka
zahe qismat mere baalin pe tera jalwagar hona
hawa-e-tund se kab tak laDega shola-e-sarkash
abas hai KHud-numai ki hawas mein jalwagar hona
diyar-e-be-KHudi hai apne haq mein gosha-e-rahat
ghanimat hai ghaDi bhar KHwab-e-ghaflat mein basar hona
wahi saqi wahi saghar wahi shisha wahi baada
magar lazim nahin har ek par yaksan asar hona
suna karte the aaj aankhon se dekhen dekhne wale
nigah-e-'yas' ka sangin-dilon par kargar hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.