Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-KHud kiye dete hain andaz-e-hijabana

Bedam Shah Warsi

be-KHud kiye dete hain andaz-e-hijabana

Bedam Shah Warsi

MORE BYBedam Shah Warsi

    be-ḳhud kiye dete haiñ andāz-e-hijābāna

    aa dil meñ tujhe rakh luuñ ai jalva-e-jānāna

    itnā to karam karnā ai chashm-e-karīmāna

    jab jaan laboñ par ho tum sāmne aa jaanā

    kyuuñ aañkh milā.ī thī kyuuñ aag lagā.ī thī

    ab ruḳh ko chhupā baiThe kar ke mujhe dīvāna

    zāhid mirī qismat meñ sajde haiñ usī dar ke

    chhūTā hai na chhūTegā sang-e-dar-e-jānāna

    kyā lutf ho mahshar meñ maiñ shikve kiye jā.ūñ

    vo hañs ke kahe jaa.eñ dīvāna hai dīvāna

    saaqī tire aate hī ye josh hai mastī kā

    shīshe pe girā shīsha paimāne pe paimāna

    mā'lūm nahīñ 'bedam' maiñ kaun huuñ aur kyā huuñ

    yuuñ apnoñ meñ apnā huuñ begānoñ meñ begāna

    be-KHud kiye dete hain andaz-e-hijabana

    aa dil mein tujhe rakh lun ai jalwa-e-jaanana

    itna to karam karna ai chashm-e-karimana

    jab jaan labon par ho tum samne aa jaana

    kyun aankh milai thi kyun aag lagai thi

    ab ruKH ko chhupa baiThe kar ke mujhe diwana

    zahid meri qismat mein sajde hain usi dar ke

    chhuTa hai na chhuTega sang-e-dar-e-jaanana

    kya lutf ho mahshar mein main shikwe kiye jaun

    wo hans ke kahe jaen diwana hai diwana

    saqi tere aate hi ye josh hai masti ka

    shishe pe gira shisha paimane pe paimana

    ma'lum nahin 'bedam' main kaun hun aur kya hun

    yun apnon mein apna hun beganon mein begana

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning

    Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets

    Speak Now