yun bhi hua kamal mere pas aa gai
yuuñ bhī huā kamāl mire paas aa ga.ī
hairat hai zindagī ko mirī shakl bhā ga.ī
mujh se judā kiyā hai mujhe us ke ḳhvāb ne
āñkhoñ meñ ik hasīn sī tasvīr chhā ga.ī
donoñ taraf kī aag ne kyā kyā nahīñ kiyā
donoñ kī niiñd chhīn lī aur chain khā ga.ī
maiñ bhī tamām raat jalā huuñ usī ke saath
us kī bhī ek ek adā zulm Dhā ga.ī
hoñToñ pe raqs kartī mirī intihā.ī pyaas
guzrī hadoñ se aise ki manzil ko pā ga.ī
yun bhi hua kamal mere pas aa gai
hairat hai zindagi ko meri shakl bha gai
mujh se juda kiya hai mujhe us ke KHwab ne
aankhon mein ek hasin si taswir chha gai
donon taraf ki aag ne kya kya nahin kiya
donon ki nind chhin li aur chain kha gai
main bhi tamam raat jala hun usi ke sath
us ki bhi ek ek ada zulm Dha gai
honTon pe raqs karti meri intihai pyas
guzri hadon se aise ki manzil ko pa gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.