Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

roz murgha bana kare koi

Kaif Ahmed Siddiqui

roz murgha bana kare koi

Kaif Ahmed Siddiqui

MORE BYKaif Ahmed Siddiqui

    roz murġhā banā kare koī

    kab tak āḳhir piTā kare koī

    jab kahīñ naukrī nahīñ miltī

    degrēyāñ le ke kyā kare koī

    mujh ko reading se saḳht nafrat hai

    maiñ sunūñ aur paḌhā kare koī

    jis meñ aatī ho ta'assub

    aisī tārīḳh kyā kare koī

    jin meñ jañg-o-jadal ke qisse hoñ

    vo kutub kyoñ paḌhā kare koī

    ġhair-mulkī zabān english ko

    ḳhvā-maḳhvāh kyoñ raTā kare koī

    nahīñ ummīd-e-kāmyābī jab

    imtihāñ de ke kyā kare koī

    ḳhuub insāf hai ki darje meñ

    maiñ piTūñ aur ḳhatā kare koī

    kab tak āḳhir baġhair samjhe hue

    formule raTā kare koī

    'kaif' aatā nahīñ javāb-e-ḳhudā

    ḳhat kahāñ tak likhā kare koī

    roz murgha bana kare koi

    kab tak aaKHir piTa kare koi

    jab kahin naukri nahin milti

    degreeyan le ke kya kare koi

    mujh ko reading se saKHt nafrat hai

    main sunun aur paDha kare koi

    jis mein aati ho bu ta'assub ki

    aisi tariKH kya kare koi

    jin mein jang-o-jadal ke qisse hon

    wo kutub kyon paDha kare koi

    ghair-mulki zaban english ko

    KHwa-maKHwah kyon raTa kare koi

    nahin ummid-e-kaamyabi jab

    imtihan de ke kya kare koi

    KHub insaf hai ki darje mein

    main piTun aur KHata kare koi

    kab tak aaKHir baghair samjhe hue

    formule raTa kare koi

    'kaif' aata nahin jawab-e-KHuda

    KHat kahan tak likha kare koi

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now