Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phulon se badan un ke kanTe hain zabanon mein

Saghar Azmi

phulon se badan un ke kanTe hain zabanon mein

Saghar Azmi

MORE BYSaghar Azmi

    phūloñ se badan un ke kāñTe haiñ zabānoñ meñ

    shīshe ke haiñ darvāze patthar dukānoñ meñ

    kashmīr vaadī meñ be-parda jo nikle ho

    kyā aag lagāoge barfīlī chaTānoñ meñ

    bas ek Thokar se gir jā.eñgī dīvāreñ

    āhista zarā chaliye shīshe ke makānoñ meñ

    allāh-re majbūrī bikne ke liye ab bhī

    sāmān-e-tabassum hai ashkoñ dukānoñ meñ

    aane ko hai phir shāyad tūfān nayā koī

    sahme hue baiThe haiñ log apne makānoñ meñ

    shohrat fazāoñ meñ itnā na uḌo 'sāġhar'

    parvāz na kho jaa.e in ūñchī uḌānoñ meñ

    phulon se badan un ke kanTe hain zabanon mein

    shishe ke hain darwaze patthar ki dukanon mein

    kashmir ki wadi mein be-parda jo nikle ho

    kya aag lagaoge barfili chaTanon mein

    bas ek hi Thokar se gir jaengi diwaren

    aahista zara chaliye shishe ke makanon mein

    allah-re majburi bikne ke liye ab bhi

    saman-e-tabassum hai ashkon ki dukanon mein

    aane ko hai phir shayad tufan naya koi

    sahme hue baiThe hain log apne makanon mein

    shohrat ki fazaon mein itna na uDo 'saghar'

    parwaz na kho jae in unchi uDanon mein

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Saghar Azmi

    Saghar Azmi

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    phulon se badan un ke kanTe hain zabanon mein Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now