Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere samne to samajh raha tha ki phul tha

Mohammad Izhar ul Haq

tere samne to samajh raha tha ki phul tha

Mohammad Izhar ul Haq

tire sāmne to samajh rahā thā ki phuul thā

tujhe kyā ḳhabar ki ye aa.inā thā ki phuul thā

tirā paañv shaam pe aa gayā thā ki chāñd thā

tirā hijr sub.h ko jal uThā thā ki phuul thā

tirā husn-e-sehr thā mumkināt had na thī

kaf-e-dast par tire ḳhaar ugā thā ki phuul thā

vo kamāl ruḳh thā kiran thī us pe kalī bhī thī

jo gale milā sar-e-shab diyā thā ki phuul thā

ye chaman bahisht ke the ki maañ vajūd thā

ye duā haath mahak uThā thā ki phuul thā

tere samne to samajh raha tha ki phul tha

tujhe kya KHabar ki ye aaina tha ki phul tha

tera panw sham pe aa gaya tha ki chand tha

tera hijr subh ko jal uTha tha ki phul tha

tera husn-e-sehr tha mumkinat ki had na thi

kaf-e-dast par tere KHar uga tha ki phul tha

wo kamal ruKH tha kiran thi us pe kali bhi thi

jo gale mila sar-e-shab diya tha ki phul tha

ye chaman bahisht ke the ki man ka wajud tha

ye dua ka hath mahak uTha tha ki phul tha

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now