Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ja rahi hai bahaar phulon ki

Bano Tahira Sayeed

ja rahi hai bahaar phulon ki

Bano Tahira Sayeed

MORE BYBano Tahira Sayeed

    rahī hai bahār phūloñ

    hai qabā taar taar phūloñ

    sīñchiye pahle ḳhūn-e-dil se chaman

    dekhiye phir bahār phūloñ

    un ke hoñToñ pe muskurātī hai

    muskurāhaT hazār phūloñ

    kis qadar talḳh ye haqīqat hai

    ham-nashīnī-e-ḳhār phūloñ

    jis ko kahte haiñ ham bahār-o-ḳhizāñ

    vo to hai jiit haar phūloñ

    sach batā kyoñ ḳhamosh hai bulbul

    ai sabā rāz-dār phūloñ

    hai ḳhizāñ meñ bhī jaise āvāra

    nik.hat-e-be-qarār phūlūñ

    kyā qafas meñ bhī gul khilā.egī

    yaad yuuñ baar baar phūloñ

    'tāhira' aaj tere sheroñ meñ

    hai mahak be-shumār phūloñ

    ja rahi hai bahaar phulon ki

    hai qaba tar tar phulon ki

    sinchiye pahle KHun-e-dil se chaman

    dekhiye phir bahaar phulon ki

    un ke honTon pe muskuraati hai

    muskurahaT hazar phulon ki

    kis qadar talKH ye haqiqat hai

    ham-nashini-e-KHar phulon ki

    jis ko kahte hain hum bahaar-o-KHizan

    wo to hai jit haar phulon ki

    sach bata kyon KHamosh hai bulbul

    ai saba raaz-dar phulon ki

    hai KHizan mein bhi jaise aawara

    nikhat-e-be-qarar phulun ki

    kya qafas mein bhi gul khilaegi

    yaad yun bar bar phulon ki

    'tahira' aaj tere sheron mein

    hai mahak be-shumar phulon ki

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now