Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

parinde be-qarari mein

Khurshid Talab

parinde be-qarari mein

Khurshid Talab

parinde be-qarārī meñ

musalsal barf-bārī meñ

hamīñ kyuuñ zad meñ aate haiñ

hamesha chāñd-mārī meñ

hamārī qaum zinda hai

faqat mardum-shumārī meñ

bahut nuqsān hotā hai

ziyāda hoshiyārī meñ

kamī kuchh rah ga.ī hai kyā

hamārī jāñ-nisārī meñ

qalam faiyyaz hotā thā

'talab' be-roz-gārī meñ

parinde be-qarari mein

musalsal barf-bari mein

hamin kyun zad mein aate hain

hamesha chand-mari mein

hamari qaum zinda hai

faqat mardum-shumari mein

bahut nuqsan hota hai

ziyaada hoshiyari mein

kami kuchh rah gai hai kya

hamari jaan-nisari mein

qalam faiyyaz hota tha

'talab' be-roz-gari mein

Source :
  • Book : Jahaan Gard (Pg. 97)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now