Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nim-cha jald myan hi na miyan kijiyega

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

nim-cha jald myan hi na miyan kijiyega

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi

    nīm-chā jald myaañ na miyāñ kījiyegā

    nīm-jānoñ abhī kaam ravāñ kījiyegā

    tāqat-e-garmī-e-ḳhurshīd-e-qayāmat hai kise

    taab dāġh-e-jigar se na fuġhāñ kījiyegā

    dil meñ tum ho na jalāo mire dil ko dekho

    merā nuqsān nahīñ apnā ziyāñ kījiyegā

    kah do baqqāl pisar se ki mirā dil le kar

    qasd-e-aḳhz-e-dil-e-aġhyār na haañ kījiyegā

    dil se dil paas haiñ to bhī hai diloñ ḳhvāhish

    kyā diloñ kahīñ dillī meñ dukāñ kījiyegā

    aur bhī soz-e-jigar bazm meñ hogā raushan

    sham.a saañ qat.a agar merī zabāñ kījiyegā

    yaar jab saath safar meñ ho kahāñ rozī

    roz rozoñ meñ īd-e-ramzāñ kījiyegā

    kis se yārab kahūñ ahvāl ye kahtā hai vo but

    apnī yaañ rām-kahānī na bayāñ kījiyegā

    vo dhuāñ-dhār zulfeñ haiñ nazar meñ har shab

    vird ab sura-e-vallail-o-duḳhāñ kījiyegā

    shahr-e-dil tumheñ ābādī kuchh bhī hai ḳhayāl

    jahāñ rahiyegā vīrāñ vahāñ kījiyegā

    merī jānib se kaho mohtasib-e-shahr se ye

    sa.ī-e-arzānī-e-mai az dil-o-jāñ kījiyegā

    paanī ke tumheñ deveñge dushnām ye riñd

    tum subuk hoge agar baada girāñ kījiyegā

    jald 'ehsāñ' se kaho vo but-e-ḳhud-kām aayā

    ab to lillāh kahīñ band zabāñ kījiyegā

    nim-cha jald myan hi na miyan kijiyega

    nim-jaanon ka abhi kaam rawan kijiyega

    taqat-e-garmi-e-KHurshid-e-qayamat hai kise

    tab ki dagh-e-jigar se na fughan kijiyega

    dil mein tum ho na jalao mere dil ko dekho

    mera nuqsan nahin apna ziyan kijiyega

    kah do baqqal pisar se ki mera dil le kar

    qasd-e-aKHz-e-dil-e-aghyar na han kijiyega

    dil se dil pas hain to bhi hai dilon ki KHwahish

    kya dilon ki kahin dilli mein dukan kijiyega

    aur bhi soz-e-jigar bazm mein hoga raushan

    shama san qata agar meri zaban kijiyega

    yar jab sath safar mein ho kahan ki rozi

    roz rozon hi mein id-e-ramzan kijiyega

    kis se yarab kahun ahwal ye kahta hai wo but

    apni yan ram-kahani na bayan kijiyega

    wo dhuan-dhaar si zulfen hain nazar mein har shab

    wird ab sura-e-wallail-o-duKHan kijiyega

    shahr-e-dil ki tumhein aabaadi ka kuchh bhi hai KHayal

    ya jahan rahiyega viran hi wahan kijiyega

    meri jaanib se kaho mohtasib-e-shahr se ye

    sai-e-arzani-e-mai az dil-o-jaan kijiyega

    pani pi pi ke tumhein dewenge dushnam ye rind

    tum subuk hoge agar baada giran kijiyega

    jald 'ehsan' se kaho wo but-e-KHud-kaam aaya

    ab to lillah kahin band zaban kijiyega

    Source :
    • Kulliyat-e-Ehsan
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now