Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nigah barq nahin chehra aaftab nahin

Jaleel Manikpuri

nigah barq nahin chehra aaftab nahin

Jaleel Manikpuri

nigāh barq nahīñ chehra āftāb nahīñ

vo aadmī hai magar dekhne taab nahīñ

gunah gunah na rahā itnī bāda-noshī

ab ek shaġhl hai kuchh lazzat-e-sharāb nahīñ

hameñ to duur se āñkheñ dikhā.ī jaatī haiñ

naqāb lipTī hai us par koī itaab nahīñ

piye baġhair chaḌhī rahtī hai hasīnoñ ko

vahāñ shabāb hai kyā kam agar sharāb nahīñ

bahār detā hai chhan chhan ke nuur chehre

sar-e-naqāb hai jo kuchh tah-e-naqāb nahīñ

vo apne aks ko āvāz de ke kahte haiñ

tirā javāb to maiñ huuñ mirā javāb nahīñ

use bhī aap ke hoñToñ paḌ gayā chaskā

hazār chhoḌiye chhuTne ab sharāb nahīñ

butoñ se parda uThāne bahas hai bekār

khulī dalīl hai kaaba bhī be-naqāb nahīñ

'jalīl' ḳhatm na ho daur-e-jām-e-mīnā.ī

ki is sharāb se baḌh kar koī sharāb nahīñ

nigah barq nahin chehra aaftab nahin

wo aadmi hai magar dekhne ki tab nahin

gunah gunah na raha itni baada-noshi ki

ab ek shaghl hai kuchh lazzat-e-sharab nahin

hamein to dur se aankhen dikhai jati hain

naqab lipTi hai us par koi itab nahin

piye baghair chaDhi rahti hai hasinon ko

wahan shabab hai kya kam agar sharab nahin

bahaar deta hai chhan chhan ke nur chehre ka

sar-e-naqab hai jo kuchh tah-e-naqab nahin

wo apne aks ko aawaz de ke kahte hain

tera jawab to main hun mera jawab nahin

use bhi aap ke honTon ka paD gaya chaska

hazar chhoDiye chhuTne ki ab sharab nahin

buton se parda uThane ki bahas hai bekar

khuli dalil hai kaba bhi be-naqab nahin

'jalil' KHatm na ho daur-e-jam-e-minai

ki is sharab se baDh kar koi sharab nahin

RECITATIONS

Fasih Akmal

Fasih Akmal,

00:00/00:00
Fasih Akmal

nigah barq nahin chehra aaftab nahin Fasih Akmal

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now