Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naqab-e-ruKH uThaya ja raha hai

Shakeb Jalali

naqab-e-ruKH uThaya ja raha hai

Shakeb Jalali

naqāb-e-ruḳh uThāyā rahā hai

ghaTā meñ chāñd aayā rahā hai

zamāne nigāhoñ meñ samo kar

mujhe dil se bhulāyā rahā hai

kahāñ jaam jab yaañ zauq-e-mastī

nigāhoñ se pilāyā rahā hai

abhī armān kuchh baaqī haiñ dil meñ

mujhe phir āzmāyā rahā hai

pilā kar phir sharāb-e-husn-o-jalva

mujhe be-ḳhud banāyā rahā hai

salāmat aap jaur-e-musalsal

mire dil ko dukhāyā rahā hai

'shakeb' ab vo tasavvur meñ na aa.eñ

kaleja muñh ko aayā rahā hai

naqab-e-ruKH uThaya ja raha hai

ghaTa mein chand aaya ja raha hai

zamane ki nigahon mein samo kar

mujhe dil se bhulaya ja raha hai

kahan ka jam jab yan zauq-e-masti

nigahon se pilaya ja raha hai

abhi arman kuchh baqi hain dil mein

mujhe phir aazmaya ja raha hai

pila kar phir sharab-e-husn-o-jalwa

mujhe be-KHud banaya ja raha hai

salamat aap ka jaur-e-musalsal

mere dil ko dukhaya ja raha hai

'shakeb' ab wo tasawwur mein na aaen

kaleja munh ko aaya ja raha hai

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

naqab-e-ruKH uThaya ja raha hai Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now