nahin ki dil mein hamesha KHushi bahut aai
nahīñ ki dil meñ hamesha ḳhushī bahut aa.ī
kabhī taraste rahe aur kabhī bahut aa.ī
mire falak se vo tūfāñ nahīñ uThā phir se
mirī zamīn meñ vo thartharī bahut aa.ī
jidhar se khol ke baiThe the dar añdhere kā
usī taraf se hameñ raushnī bahut aa.ī
vahāñ maqām to rone kā thā magar ai dost
tire firāq meñ ham ko hañsī bahut aa.ī
ravāñ rahe safar-e-marg par yūñhī varna
hamārī raah meñ ye zindagī bahut aa.ī
yahāñ kuchh apnī havāoñ meñ bhī uḌe haiñ bahut
hamāre ḳhvāb meñ kuchh vo parī bahut aa.ī
na thā ziyāda kuchh ehsās jis ke hone kā
chalā gayā hai to us kī kamī bahut aa.ī
na jaane kyuuñ mirī niyyat badal ga.ī yak-dam
vagarna us pe tabī.at mirī bahut aa.ī
'zafar' shu.ūr to aayā nahīñ zarā bhī hameñ
bajā.e is ke magar shā.irī bahut aa.ī
nahin ki dil mein hamesha KHushi bahut aai
kabhi taraste rahe aur kabhi bahut aai
mere falak se wo tufan nahin uTha phir se
meri zamin mein wo tharthari bahut aai
jidhar se khol ke baiThe the dar andhere ka
usi taraf se hamein raushni bahut aai
wahan maqam to rone ka tha magar ai dost
tere firaq mein hum ko hansi bahut aai
rawan rahe safar-e-marg par yunhi warna
hamari rah mein ye zindagi bahut aai
yahan kuchh apni hawaon mein bhi uDe hain bahut
hamare KHwab mein kuchh wo pari bahut aai
na tha ziyaada kuchh ehsas jis ke hone ka
chala gaya hai to us ki kami bahut aai
na jaane kyun meri niyyat badal gai yak-dam
wagarna us pe tabiat meri bahut aai
'zafar' shuur to aaya nahin zara bhi hamein
bajae is ke magar shairi bahut aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.