Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naseha kar na ise si ke pasheman mujhko

Qayem Chaandpuri

naseha kar na ise si ke pasheman mujhko

Qayem Chaandpuri

nāsehā kar na ise ke pashemāñ mujh ko

kitne chaak abhī karne haiñ garebāñ mujh ko

vahshat-e-dil koī shahroñ meñ samā saktī hai

kaash le jaa.e junūñ sū-e-bayābāñ mujh ko

ahl-e-masjid ne jo kāfir mujhe samjhā to kyā

sākin-e-dair to jaane haiñ musalmāñ mujh ko

maiñ sar-e-mū nahīñ juuñ zulf kisī se shākī

bāda-dastī ne kiyā merī pareshāñ mujh ko

sach kaho kis se hai ye nain khilāne shauq

bhejte ho jo pa.e-surma-safāhāñ mujh ko

yaañ talak ḳhush huuñ amārid se ki ai rabb-e-karīm

kaash de huur ke badle bhī ġhilmāñ mujh ko

muft tak to koī 'qā.em' nahīñ lene ye jins

kah falak se kare kuchh aur bhī arzāñ mujh ko

naseha kar na ise si ke pasheman mujh ko

kitne hi chaak abhi karne hain gareban mujh ko

wahshat-e-dil koi shahron mein sama sakti hai

kash le jae junun su-e-bayaban mujh ko

ahl-e-masjid ne jo kafir mujhe samjha to kya

sakin-e-dair to jaane hain musalman mujh ko

main sar-e-mu nahin jun zulf kisi se shaki

baada-dasti ne kiya meri pareshan mujh ko

sach kaho kis se hai ye nain khilane ka shauq

bhejte ho jo pae-surma-safahan mujh ko

yan talak KHush hun amarid se ki ai rabb-e-karim

kash de hur ke badle bhi tu ghilman mujh ko

muft tak to koi 'qaem' nahin lene ka ye jins

kah falak se kare kuchh aur bhi arzan mujh ko

Source :
  • Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now