nala-e-KHunin se raushan dard ki raaten karo
nāla-e-ḳhūnīñ se raushan dard kī rāteñ karo
maiñ nahīñ kahtā duā māñgo munājāteñ karo
dil ke guchchhe meñ haiñ saare mausamoñ kī chābiyāñ
dhuup kholo chāñdnī chhiTkāo barsāteñ karo
jo nahīñ sunte haiñ un ko bhī sunāo apnī baat
jo nahīñ milte haiñ un se bhī mulāqāteñ karo
maut ḳhāmoshī hai chup rahne se chup lag jā.egī
zindagī āvāz hai bāteñ karo bāteñ karo
nala-e-KHunin se raushan dard ki raaten karo
main nahin kahta dua mango munajaten karo
dil ke guchchhe mein hain sare mausamon ki chabiyan
dhup kholo chandni chhiTkao barsaten karo
jo nahin sunte hain un ko bhi sunao apni baat
jo nahin milte hain un se bhi mulaqaten karo
maut KHamoshi hai chup rahne se chup lag jaegi
zindagi aawaz hai baaten karo baaten karo
- Book : Auraaq-e-Khezani (Pg. 29)
- Author : Ahmad Mushtaq
- Publication : Rekhta Foundation (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.