Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na guman maut ka hai na KHayal zindagi ka

Aitbar Sajid

na guman maut ka hai na KHayal zindagi ka

Aitbar Sajid

MORE BYAitbar Sajid

    na gumān maut hai na ḳhayāl zindagī

    so ye haal in dinoñ hai mire dil be-kasī

    maiñ shikasta baam o dar meñ jise ke DhūñDtā thā

    koī yaad thī kisī koī naam thā kisī

    maiñ havāoñ se hirāsāñ vo ghuTan se dil-girafta

    maiñ charāġh tīrgī vo gulāb raushnī

    abhī rail ke safar meñ haiñ bahut nihāl donoñ

    kahīñ rog ban na jaa.e yahī saath do ghaḌī

    koī shahr aa rahā hai to ye ḳhauf aa rahā hai

    koī jaane kab utar le ki bharosa kyā kisī

    koī muḳhtalif nahīñ hai ye dhuāñ ye rā.egānī

    ki jo haal shahr hai vahī apnī shā.irī

    na guman maut ka hai na KHayal zindagi ka

    so ye haal in dinon hai mere dil ki be-kasi ka

    main shikasta baam o dar mein jise ja ke DhunDta tha

    koi yaad thi kisi ki koi nam tha kisi ka

    main hawaon se hirasan wo ghuTan se dil-girafta

    main charagh tirgi ka wo gulab raushni ka

    abhi rail ke safar mein hain bahut nihaal donon

    kahin rog ban na jae yahi sath do ghaDi ka

    koi shahr aa raha hai to ye KHauf aa raha hai

    koi jaane kab utar le ki bharosa kya kisi ka

    koi muKHtalif nahin hai ye dhuan ye raegani

    ki jo haal shahr ka hai wahi apni shairi ka

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now