Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na darweshon ka KHirqa chahiye na taj-e-shahana

Bahadur Shah Zafar

na darweshon ka KHirqa chahiye na taj-e-shahana

Bahadur Shah Zafar

na darveshoñ ḳhirqa chāhiye tāj-e-shāhānā

mujhe to hosh de itnā rahūñ maiñ tujh pe dīvānā

kitāboñ meñ dharā hai kyā bahut likh likh ke dho Dālīñ

hamāre dil pe naqsh-e-kal-hajar hai terā farmānā

ġhanīmat jaan jo dam guzre kaifiyyat se gulshan meñ

diye sāqī-e-paimāñ-shikan bhar bhar ke paimānā

na dekhā vo kahīñ jalva jo dekhā ḳhāna-e-dil meñ

bahut masjid meñ sar maarā bahut DhūñDā but-ḳhānā

kuchh aisā ho ki jis se manzil-e-maqsūd ko pahuñchūñ

tarīq-e-pārsā.ī hove ho rāh-e-rindānā

ye saarī āmad-o-shud hai nafas āmad-o-shud par

isī tak aanā jaanā hai na phir jaanā na phir aanā

'zafar' vo zāhid-e-bedard hū-haq se behtar hai

kare gar rind dard-e-dil se hāv-hū-e-mastānā

na darweshon ka KHirqa chahiye na taj-e-shahana

mujhe to hosh de itna rahun main tujh pe diwana

kitabon mein dhara hai kya bahut likh likh ke dho Dalin

hamare dil pe naqsh-e-kal-hajar hai tera farmana

ghanimat jaan jo dam guzre kaifiyyat se gulshan mein

diye ja saqi-e-paiman-shikan bhar bhar ke paimana

na dekha wo kahin jalwa jo dekha KHana-e-dil mein

bahut masjid mein sar mara bahut sa DhunDa but-KHana

kuchh aisa ho ki jis se manzil-e-maqsud ko pahunchun

tariq-e-parsai howe ya ho rah-e-rindana

ye sari aamad-o-shud hai nafas ki aamad-o-shud par

isi tak aana jaana hai na phir jaana na phir aana

'zafar' wo zahid-e-bedard ki hu-haq se behtar hai

kare gar rind dard-e-dil se haw-hu-e-mastana

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now