Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

munafiqat ka nisab paDh kar mohabbaton ki kitab likhna

Aftab Hussain

munafiqat ka nisab paDh kar mohabbaton ki kitab likhna

Aftab Hussain

munāfiqat nisāb paḌh kar mohabbatoñ kitāb likhnā

bahut kaThin hai ḳhizāñ ke māthe pe dāstān-e-gulāb likhnā

maiñ jab chalūñgā to regzāroñ meñ ulfatoñ ke kañval khileñge

hazār tum mere rāstoñ meñ mohabbatoñ ke sarāb likhnā

firāq mausam chilmanoñ se visāl lamhe chamak uTheñge

udaas shāmoñ meñ kāġhaz-e-dil pe guzre vaqtoñ ke baab likhnā

vo merī ḳhvāhish lauh-e-tishna pe zindagī ke savāl ubharnā

vo us harf-e-karam se apne qubūliyat ke javāb likhnā

ga.e zamānoñ dard kajlā.ī bhūlī bisrī kitāb paḌh kar

jo ho sake tum se aane vaale dinoñ ke rañgīn ḳhvāb likhnā

munafiqat ka nisab paDh kar mohabbaton ki kitab likhna

bahut kaThin hai KHizan ke mathe pe dastan-e-gulab likhna

main jab chalunga to regzaron mein ulfaton ke kanwal khilenge

hazar tum mere raston mein mohabbaton ke sarab likhna

firaq mausam ki chilmanon se visal lamhe chamak uThenge

udas shamon mein kaghaz-e-dil pe guzre waqton ke bab likhna

wo meri KHwahish ki lauh-e-tishna pe zindagi ke sawal ubharna

wo us ka harf-e-karam se apne qubuliyat ke jawab likhna

gae zamanon ki dard kajlai bhuli bisri kitab paDh kar

jo ho sake tum se aane wale dinon ke rangin KHwab likhna

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now