mujhe pata tha ki ye hadsa bhi hona tha
mujhe pata tha ki ye hadsa bhi hona tha
Rajinder Manchanda Bani
MORE BYRajinder Manchanda Bani
mujhe pata thā ki ye hādsa bhī honā thā
maiñ us se mil ke na thā ḳhush judā bhī honā thā
chalo ki jazba-e-iz.hār chīḳh meñ to Dhalā
kisī tarah ise āḳhir adā bhī honā thā
banā rahī thī ajab chitr Dūbtī huī shaam
lahū kahīñ kahīñ shāmil mirā bhī honā thā
ajab safar thā ki ham rāstoñ se kaTte ga.e
phir is ke baa'd hameñ lāpata bhī honā thā
maiñ tere paas chalā aayā le ke shikve-gile
kahāñ ḳhabar thī koī faisla bhī honā thā
ġhubār ban ke uḌe tez-rau ki un ke liye
to kyā zarūr koī rāsta bhī honā thā
sarā.e par thā dhuāñ jam' saarī bastī kā
kuchh is tarah ki koī sāniha bhī honā thā
mujhe zarā sā gumāñ bhī na thā akelā huuñ
ki dushmanoñ kā kahīñ sāmnā bhī honā thā
mujhe pata tha ki ye hadsa bhi hona tha
main us se mil ke na tha KHush juda bhi hona tha
chalo ki jazba-e-izhaar chiKH mein to Dhala
kisi tarah ise aaKHir ada bhi hona tha
bana rahi thi ajab chitr Dubti hui sham
lahu kahin kahin shamil mera bhi hona tha
ajab safar tha ki hum raston se kaTte gae
phir is ke ba'd hamein lapata bhi hona tha
main tere pas chala aaya le ke shikwe-gile
kahan KHabar thi koi faisla bhi hona tha
ghubar ban ke uDe tez-rau ki un ke liye
to kya zarur koi rasta bhi hona tha
sarae par tha dhuan jam' sari basti ka
kuchh is tarah ki koi saniha bhi hona tha
mujhe zara sa guman bhi na tha akela hun
ki dushmanon ka kahin samna bhi hona tha
- Book : Kulliyat-e-bani (Pg. 61)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.