muddaten ho gai hota nahin phera tera
muddateñ ho ga.ī hotā nahīñ pherā terā
tā.ir-e-hosh kahāñ ab hai baserā terā
chhāvnī Daal ke duniyā meñ rahegā kab tak
ḳheme rah jā.eñge uTh jā.egā Derā terā
rahtī hai shams-o-qamar ko tire saa.e kī talāsh
raushnī DhūñDhtī phirtī hai añdherā terā
khaa.e jaatī hai abhī sho.ala-mizājī ai sham.a
din se pahle huā jaatā hai saverā terā
phaaḌ kar pheñkte haiñ jāma-e-hastī ko sameT
le junūñ ham ne ye sāmān bikherā terā
maiñ hī terā huuñ to phir kyā kahūñ merā kyā hai
tū hī merā hai to phir kis liye merā terā
dekhnā 'nātiq'-e-shorīda ko pherī vaale
kūcha-e-yār meñ ho ab ke jo pherā terā
muddaten ho gai hota nahin phera tera
tair-e-hosh kahan ab hai basera tera
chhawni Dal ke duniya mein rahega kab tak
KHeme rah jaenge uTh jaega Dera tera
rahti hai shams-o-qamar ko tere sae ki talash
raushni DhunDhti phirti hai andhera tera
khae jati hai abhi shoala-mizaji ai shama
din se pahle hua jata hai sawera tera
phaD kar phenkte hain jama-e-hasti ko sameT
le junun hum ne ye saman bikhera tera
main hi tera hun to phir kya kahun mera kya hai
tu hi mera hai to phir kis liye mera tera
dekhna 'natiq'-e-shorida ko pheri wale
kucha-e-yar mein ho ab ke jo phera tera
- Deewan-e-Natiq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.