Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

TuTe dil se koi ummid laga kar rakhna

Balmohan panday

TuTe dil se koi ummid laga kar rakhna

Balmohan panday

TuuTe dil se koī ummīd lagā kar rakhnā

itnā āsān nahīñ phuul pe patthar rakhnā

us ko aadat ye pareshān bahut rakkhegī

us aadat thī mirā haath pakaḌ kar rakhnā

is kyā shikva use rok nahīñ paa.e ham

ek muflis ko kahāñ aatā hai zevar rakhnā

haa.e vo ishq chhupāne ke zamāne 'mohan'

yaad aatā hai ġhalat naam se number rakhnā

TuTe dil se koi ummid laga kar rakhna

itna aasan nahin phul pe patthar rakhna

us ko aadat ye pareshan bahut rakkhegi

us ki aadat thi mera hath pakaD kar rakhna

is ka kya shikwa use rok nahin pae hum

ek muflis ko kahan aata hai zewar rakhna

hae wo ishq chhupane ke zamane 'mohan'

yaad aata hai ghalat nam se number rakhna

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now