Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tahrik-e-gham-o-alam to hai taskin-e-dil-e-nakaam nahin

Kamal Lakhnavi

tahrik-e-gham-o-alam to hai taskin-e-dil-e-nakaam nahin

Kamal Lakhnavi

tahrīk-e-ġham-o-ālām to hai taskīn-e-dil-e-nākām nahīñ

kahne ko to duniyā hai lekin duniyā meñ kahīñ ārām nahīñ

rūdād-e-mohabbat ke sadqe rūdād-e-mohabbat kyā kahiye

ye aisā fasāna hai jis āġhāz to hai anjām nahīñ

tafsīr-e-hadīs-e-ulfat ko nā-vāqif-e-ulfat kyā jaane

ye biite dinoñ bāteñ haiñ afsāna-e-sub.h-o-shām nahīñ

itnā to Thahar ai girya-e-ġham kar lene de mashq-e-zabt-e-alam

umḌe hue aañsū jaanā har ek ke bas kaam nahīñ

kyoñ pā-e-nazar meñ laġhzish hai kyoñ dast-e-talab tharrāte haiñ

rindoñ ko ye kaisā aalam hai gardish meñ abhī to jaam nahīñ

ham ahl-e-mohabbat ke dil par ma.alūm nahīñ kyā biit ga.ī

āñkhoñ meñ to aañsū milte haiñ hoñToñ pe hañsī naam nahīñ

jo un nazar ne baḳhshā hai tum kyā samjho tum kyā jaano

us dard ko ai duniyā vaalo jis dard lazzat aam nahīñ

vo jaam ki jis ke piine se rindoñ muqaddar jaag uThe

saaqī qasam maiḳhāne meñ aisā to koī bhī jaam nahīñ

qismat kuchh is meñ daḳhl nahīñ sīrat hai 'kamāl' apnī apnī

maiñ laakh pareshāñ huuñ lekin ḳhud-dārī par ilzām nahīñ

tahrik-e-gham-o-alam to hai taskin-e-dil-e-nakaam nahin

kahne ko to duniya hai lekin duniya mein kahin aaram nahin

rudad-e-mohabbat ke sadqe rudad-e-mohabbat kya kahiye

ye aisa fasana hai jis ka aaghaz to hai anjam nahin

tafsir-e-hadis-e-ulfat ko na-waqif-e-ulfat kya jaane

ye bite dinon ki baaten hain afsana-e-subh-o-sham nahin

itna to Thahar ai girya-e-gham kar lene de mashq-e-zabt-e-alam

umDe hue aansu pi jaana har ek ke bas ka kaam nahin

kyon pa-e-nazar mein laghzish hai kyon dast-e-talab tharraate hain

rindon ko ye kaisa aalam hai gardish mein abhi to jam nahin

hum ahl-e-mohabbat ke dil par malum nahin kya bit gai

aankhon mein to aansu milte hain honTon pe hansi ka nam nahin

jo un ki nazar ne baKHsha hai tum kya samjho tum kya jaano

us dard ko ai duniya walo jis dard ki lazzat aam nahin

wo jam ki jis ke pine se rindon ka muqaddar jag uThe

saqi ki qasam maiKHane mein aisa to koi bhi jam nahin

qismat ka kuchh is mein daKHl nahin sirat hai 'kamal' apni apni

main lakh pareshan hun lekin KHud-dari par ilzam nahin

Source :

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now