mohabbat mein koi sadma uThana chahiye tha
mohabbat meñ koī sadma uThānā chāhiye thā
bhulāyā thā jise vo yaad aanā chāhiye thā
girī thiiñ ghar kī dīvāreñ to sehn-e-dil meñ ham ko
gharauñde kā koī naqsha banānā chāhiye thā
uThānā chāhiye thī raakh shahr-e-ārzū kī
phir is ke ba.ad ik tūfān uThānā chāhiye thā
koī to baat karnā chāhiye thī ḳhud se āḳhir
kahīñ to mujh ko bhī ye dil lagānā chāhiye thā
kabhī to ehtimām-e-ārzū bhī thā zarūrī
koī to ziist karne kā bahānā chāhiye thā
mirī apnī aur us kī aarzū meñ farq ye thā
mujhe bas vo use saarā zamāna chāhiye thā
mohabbat mein koi sadma uThana chahiye tha
bhulaya tha jise wo yaad aana chahiye tha
giri thin ghar ki diwaren to sehn-e-dil mein hum ko
gharaunde ka koi naqsha banana chahiye tha
uThana chahiye thi rakh shahr-e-arzu ki
phir is ke baad ek tufan uThana chahiye tha
koi to baat karna chahiye thi KHud se aaKHir
kahin to mujh ko bhi ye dil lagana chahiye tha
kabhi to ehtimam-e-arzu bhi tha zaruri
koi to zist karne ka bahana chahiye tha
meri apni aur us ki aarzu mein farq ye tha
mujhe bas wo use sara zamana chahiye tha
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 61)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.