meri hayat hai bas raat ke andhere tak
mirī hayāt hai bas raat ke añdhere tak
mujhe havā se bachā.e rakho savere tak
dukān-e-dil meñ navādir saje hue haiñ magar
ye vo jagah hai ki aate nahīñ luTere tak
mujhe qubūl haiñ ye gardisheñ tah-e-dil se
raheñ jo sirf tire bāzuoñ ke ghere tak
saḌak pe so.e hue aadmī ko sone do
vo ḳhvāb meñ to pahuñch jā.egā basere tak
chamak-damak meñ dikhā.ī nahīñ diye aañsū
agarche maiñ ne ye nag raah meñ bikhere tak
kahāñ haiñ ab vo musāfir-navāz bahutere
uThā ke le ga.e ḳhāna-ba-dosh Dere tak
thakā huā huuñ magar is qadar nahīñ ki 'shu.ūr'
lagā sakūñ na ab us kī galī ke phere tak
meri hayat hai bas raat ke andhere tak
mujhe hawa se bachae rakho sawere tak
dukan-e-dil mein nawadir saje hue hain magar
ye wo jagah hai ki aate nahin luTere tak
mujhe qubul hain ye gardishen tah-e-dil se
rahen jo sirf tere bazuon ke ghere tak
saDak pe soe hue aadmi ko sone do
wo KHwab mein to pahunch jaega basere tak
chamak-damak mein dikhai nahin diye aansu
agarche main ne ye nag rah mein bikhere tak
kahan hain ab wo musafir-nawaz bahutere
uTha ke le gae KHana-ba-dosh Dere tak
thaka hua hun magar is qadar nahin ki 'shuur'
laga sakun na ab us ki gali ke phere tak
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 50)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.