Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere wajud abhi na-tawan nahin hona

Liaqat Jafri

mere wajud abhi na-tawan nahin hona

Liaqat Jafri

MORE BYLiaqat Jafri

    mire vajūd abhī nā-tavāñ nahīñ honā

    phir is ke ba.ad ye mausam javāñ nahīñ honā

    kise ḳhabar thī ki mahshar hogā ye bhī rang

    zamīñ honā magar āsmāñ nahīñ honā

    hameñ ḳhabar hai ki vahshat Thikāne lagnī hai

    hamārā josh abhī rā.egāñ nahīñ honā

    vajūd apnā hai aur aap tai kareñge ham

    kahāñ pe honā hai ham ko kahāñ nahīñ honā

    ab is ke ba.ad sakat kuchh nahīñ rahī mujh meñ

    ab is se aage qissa bayāñ nahīñ honā

    hamārī bastī dukh hai hamīñ se pūchho miyāñ

    ki qabreñ honī magar āstāñ nahīñ honā

    maqām-e-shukr hai mere liye ki mere murīd

    ye terā aaj mirā qadr-dāñ nahīñ honā

    maiñ ḳhāndān sab se baḌā madārī huuñ

    tamāsha hotā rahegā yahāñ nahīñ honā

    bas itnī duurī mayassar rahegī donoñ ko

    ki fāsla bhī koī darmiyāñ nahīñ honā

    ajab azaab thā ki apne shahr-e-armāñ meñ

    hamāre vāste jā-e-amāñ nahīñ honā

    ye zulm hai ki munādī ho imtihānoñ

    phir is ke ba.ad koī imtihāñ nahīñ honā

    ajab supurdagī-e-jāñ marhala thā 'alī'

    hamāre hone ham ko gumāñ nahīñ honā

    mere wajud abhi na-tawan nahin hona

    phir is ke baad ye mausam jawan nahin hona

    kise KHabar thi ki mahshar ka hoga ye bhi rang

    zamin ka hona magar aasman nahin hona

    hamein KHabar hai ki wahshat Thikane lagni hai

    hamara josh abhi raegan nahin hona

    wajud apna hai aur aap tai karenge hum

    kahan pe hona hai hum ko kahan nahin hona

    ab is ke baad sakat kuchh nahin rahi mujh mein

    ab is se aage ka qissa bayan nahin hona

    hamari basti ka dukh hai hamin se puchho miyan

    ki qabren honi magar aastan nahin hona

    maqam-e-shukr hai mere liye ki mere murid

    ye tera aaj mera qadr-dan nahin hona

    main KHandan ka sab se baDa madari hun

    tamasha hota rahega yahan nahin hona

    bas itni duri mayassar rahegi donon ko

    ki fasla bhi koi darmiyan nahin hona

    ajab azab tha ki apne shahr-e-arman mein

    hamare waste ja-e-aman nahin hona

    ye zulm hai ki munadi ho imtihanon ki

    phir is ke baad koi imtihan nahin hona

    ajab supurdagi-e-jaan ka marhala tha 'ali'

    hamare hone ka hum ko guman nahin hona

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now