mere sheron mein fankari nahin hai
mire she'roñ meñ fankārī nahīñ hai
ki mujh meñ itnī hushyārī nahīñ hai
davā-e-maut kyuuñ lete ho itnī
agar jiine kī bīmārī nahīñ hai
badan phir se ugā legī ye miTTī
ki maiñ ne jaañ abhī haarī nahīñ hai
mohabbat hai hī itnī sāf-o-sāda
ye merī sahl-añgārī nahīñ hai
ise bachchoñ ke hāthoñ se uThāo
ye duniyā is qadar bhārī nahīñ hai
maiñ us patthar se Takrātā huuñ be-kār
zarā bhī us meñ chingārī nahīñ hai
na kyuuñ sajda kare apne butoñ kā
ye sar masjid kā darbārī nahīñ hai
gayā ye kah ke mujh se 'ishq kā rog
ki tujh ko shauq-e-bīmārī nahīñ hai
hamārā 'ishq karnā jism ke saath
'ibādat hai gunahgārī nahīñ hai
ba-rāh-e-jism hai saarā tasavvuf
badan suufī hai braham-zhārī nahīñ hai
ye koī aur hogā 'farhat-ehsās'
nahīñ ye bhī mirī baarī nahīñ hai
mere she'ron mein fankari nahin hai
ki mujh mein itni hushyari nahin hai
dawa-e-maut kyun lete ho itni
agar jine ki bimari nahin hai
badan phir se uga legi ye miTTi
ki main ne jaan abhi haari nahin hai
mohabbat hai hi itni saf-o-sada
ye meri sahl-angari nahin hai
ise bachchon ke hathon se uThao
ye duniya is qadar bhaari nahin hai
main us patthar se Takraata hun be-kar
zara bhi us mein chingari nahin hai
na kyun sajda kare apne buton ka
ye sar masjid ka darbari nahin hai
gaya ye kah ke mujh se 'ishq ka rog
ki tujh ko shauq-e-bimari nahin hai
hamara 'ishq karna jism ke sath
'ibaadat hai gunahgari nahin hai
ba-rah-e-jism hai sara tasawwuf
badan sufi hai braham-zhaari nahin hai
ye koi aur hoga 'farhat-ehsas'
nahin ye bhi meri bari nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.